Monday 28 March 2016

Blogging Mein Career Kaise Banaye? Blogging as a Career in Hindi.


Kehte Hain Dream Job, Naam Or Paisa Har Kisi Ko Nahi Milta, Lekin Agar Job Ko He Dream Bana Liya Jaye To..... Blogging Ek Aisa He Platform Hai Jaha Par Aap Sab Kuch Kar Sakte Ho, Jo Aap Karna Chaho. Bus Dimaag Main Idea, Man Main Lagan Or Dil Mai Santosh Ho To.... Yaha Sabkuch Sambhav Hai.


Navyubak Ho Ya Koi Professional Aaj Sabhi Blogging Ko Career Ke Rup Mian Apnane Ko Tyar Bethe Hain. Kyonki Sabhi Ne Suna Hai. Ki. Blogging Se Achi Kamai Ki Ja Sakti Hai. Blogging Se Paisa Kamana Asan Bhi Hai. Or Mushkil Bhi. Bloggin Kisi Nokri Ki Tarah Din Mai 8 Ghante Ka Kaam Hai. Lekin Ye Puri Tarah Ap Par Nirbhar Karta Hai. Ki Ap Essse Kaise Manage Karte Hain? Aap Blogging Main Din Mai 2 Hours De Kar Bhi Kama Sakte Hain. Or 12 Hours Dekar Bhi Kuch Nahi Melega. Blogging Main Sabse Jaruri Bat Hai Ki Ap Kitna Prabhav Shaali Dhang Se Likhte Hain, Ki Readers Bar Bar Apke Blog Ko Read Karne Ke Liye Apke Blog Par Aye. Sath Hi Yeh Bhi Jaruri Hai Ki Ap Apna Work Ko Kitni Achi Tarah Se Market Kar Pate Hain. Experienced Bloggers Batate Hain Ki 50% Lek Ki Gunvata Or 50% Apki Self Marketing Work Karti Hai. Yeh Kam Ap Anubav Se He Sikh Sakte Hain. Yeh Apko Koi Sikha Nahi Sakta...




Hum Es Lekh Main Un Binduyon Ar Charcha Kar Rahe Hain, Jo Apko Blogging Ko Career Ke Roop Mai Apnane Mai Puri Help Karengi.


Mahilayon Ke Liye Bhi Hain Moke.

House Wife Jo Hamesha Ghar Ke Kamo Mai Busy Rahti Hain, Talent Hone Ke Bawjut Bhi Jivan Ki Vaysastata Ke Chalte Career Ke Bare Main Sochkar Bhi Reh Jati Hain. Unke Liye Blogging Vardaan Ho Sakta Hai. Aap Ghar Mai Reh Kar Bhi Apna Career Bana Sakti Hain. Or Atamnirbhar Ban Sakti Hain, Aaj Aise Kai Mahilayen Hai Jinhone Ek Chote Se Blog Se Shurat Ki Or Aaj Ek Safal Or Professional Blogger Hain. Or Sath He Achi Kamai Bhi Kar Rahi Hain. 

(1) Shuruat Ke Liye Acha Hoga Ki Mahilayon Se Related Topic Likhe Jaise Cooking Blog, Beauty Tips Blog Adi Par Likhen.

(2) Eske Alawa Silaye, Kadhai, Mehandi Blog Or Sangeet Jaise Vishyon Main Bhi Agar Apki Achi Pakad Hai To Ap Usme Bhi Apna Blog Likh Sakti Hain. 

(3) Koi Bhi Bina Shuruaat Se Professional Nahi Hota Lekin Bina Shuruaat Se Ban Bhi Nahi Pata, Elsliye Shuruat Jarur Karein. 



Blog Ka Subject Chuniye.

Blog Banane Se Pehle Aap Wo Subject Choose Karein Jiske Bare Main Ap Jante Hain Or Likh Sakte Hain, Subject Aisa Hona Chaiye Jisme Aane Wali Nayi Nayi Chijo Ko Aap Asani Se Samjh Or Sikh Sakein | Jisse Apko Pathako Ke Questions Ka Uttar Dein Sakein Or Unke Samksh Naye Naye Lekh Nirantar Prastut Kar Sakein.

Jab Ap Blog Ka Vishya Chun Lein, Uske Baad Niche Di Gaye Baton Ka Pura Dhyan Rakhein -

(1) Blog Par Sirf Apne Chune Huye Subjects Se Related Lekh He Publish Karein.
(2) Blog Par Apne Vishaye Se Sambandhit Naye Lekh Niymit Roop Se Parkashit Karein.
(3) Blog Ki Social Profile Banaiye Or Blog Main Ruchi Rakhne Walon Ko Uske Bare Main Bataeye.
(4) Un Blogs Ko Follow Karein Jo Us Subject Par Likh Rahe Hon. Jis Par Ap Likh Rahe Hain.


Logo Ke Bich Akarshan Ke Kendra Baniye.

Jab Ap Naya Blog Shuru Karte Hain To Bina Jijhak Dusre Blogo, Forums Or Social Media Groups Mai Apni Upsathiti Darj Karaiye. Dhyan Rakhe Kin Ap Sirf Apne Lekho Ke Bare Main He Baat Karein. Dusre Vaykti Ke Lekh Ko Andekha Kar Dein. Jab Ap Dusre Ke Parti Help Ka Bhav Rakhennge Tabhi Apki Wo Apki Or Akarshit Honge, Eske Liye Niche Di Gayi Baton Par Pura Dhyan Dejiye.

(1) Anay Forums Or Social Groups Se Judiye.
(2) Blog Posto Par Tark Sangat Comment Likhiye.
(3) Naye Pathak Jutane K Liye Social Sites Par Logo Se Mitrata Kijiye.
(4) Apse Jada Lokpriye Blogs Or Sites Ki Samagri Ko Social Sites Par Share Kijiye.


Lekh Or Parkashit Smagari Ki Gunwatta Par Vishesh Dhyan Dijiye.

Blog Mai Akarshan Ka Parmukh Kendra Lekh Or Us Par Parkashit Smagari Hoti Hai, Veh Saral. Sapasht Or Uch Gunvatta Yukt Honi Chiaiye. Esse Anya Lokpriya Blogo Ke Smaksh Apki Dhaak Jam Jati Hai. Jisse Pathak Bahut Ki Prabhabit Hote Hain. Eske Sath He Pathko Ko Apne Blog Par Jamaye Rakhne Ke Liye Nich Di Gaye Baton Ka Pura Dhyan Dijiye. 

(1) Pathak Ko Hamesha Kuch Naya Sikhaeye
(2) Pathko Ki Ruchi Ka Pura Dhyan Rakhein.
(3) Pathko Ko Kisi Activity Mai Lagayein Rakheye.



Anya Blogs Par Bhi Lekh Parkashit Kijiye (Free Of Cost) 

Hindi Blogo Mai Log Anya Blogo Par Lekh Parkashit Karne Se Katrate Hain. Ve Nahi Ki Unki Mehnat Kisi Anya Blog Ko Raton Raat Sunhari Uchaiyeon Tak Le Jaye. Jisse Abhi Unka Blog Adhura Hai. Lekin Aisa Nahi Hai. Kuch Blogger Niswarth Bhav Se Anya Blogo Par Lekh Likhte Hain, Jisse Unhe Apni Pehchan Banane Mai Pura Moka Mil Jata Hai. Sath He Apne Blog Par Traffic Bhi Milta Hai.

Es Parkar Anya Blogo Par Lekh Parkashit Karte Samay Niche Di Gaye Baton Par Pura Dhyan Dijiye.

(1) Lekh Main Apne Blog Ka Pata Jarur Dijiye.
(2) Apne Lekh Ko Parchar Ke Roop Mai Mat Jahir Hone Dijiye.
(3) Lekh Ke End Main Apna Pura Brief Bio Dijiye.


Anya Blog Par Lekh Parkashit Karke Money Earn Karein

Jab Ap Blog Jagat Mai Uchit Samman Prapt Kar Lenge Tab Ap Anya Blogo Par Likhe Ke Liye Unse Paise Mang Sakte Hain. Ve Apko Rupee Ada Kaenge Kyonki Ve Jante Hain, Ki Log Apke Lekh Ko Padhne Ke Liye Adhik Se Adhik Apke Blog Par Ayenge. Jisse Ve Acha Blog Traffic Jama Karke Kamai Kar Sakte Hain, Or Sabhi Jante Hain, Jitna Blog Par Traffic Hoga, Utne He Vigyapan Par Click Ayenge Or Kamai Badhegi.

Jab Ap Blog Jagat Mai Dhak Bana Lete Hain, Uske Bad Ap Naye Naye Paryog Kar Sakte Hain, Esse Ap Apni Lekhan Samta Se Age Jakar Kuch Alag Kar Sakte Hain. Esme Kuch Parmukh Bate Hain.

(1) Aap Sangoshityan Kar Sakte Hain.
(2) Aap Visheshagye Ban Sakte Hain.
(3) Aap Nirdheshak Ban Sakte Hain.
(4) Aap Apne Shettar Vishesh Main Pustak Parkashit Kar Sakte Hain.

Vigaypan Se Kamai Ke Bare Mai Soch Banaiye

Blog Jagat Mai Kamai Ka Sabse Saral Sadhan Vigyapan Samjha Jata Hai. Vigyapan Lagao Or Paise Kamao.
Jabki Aisa Bilkul Nahi Hai. Vigyapan Bhar Dikhane Se He Apki Income Nahi Hoti Hai. Us Par Click Bhi Ane Chaiye. Click Bhi Aisa Jinka Daam Parti Click Daam Adhik Ho. Hindi Blog Par Dikhne Wale Vigyapano Par Adhiktam 0.12 Dollar Ka He Cpc Ata Hai. Lekin Adhikanshteh: Ek Click Ka Daam 0.04 Ka He Cpc Ata Hai. To Aap Samjh Sakte Hain. Ki Vigyapno Par Kitne Click Ho Tab Apki Achi Amadani Ho Sakti Hai. Blog Par Amdani Ka Sidha Sambandh Blog Ke Traffic Se Hota Hai. Jinta Jada Padthak Honge Utne He Adhik Clicks Ki Sambhavna Rahegi. Ateh Vigyapan Ke Bare Main Kisi Andhvishwas Ko Sthan Na Dein.


Last Main.

Blogging Ko Career Ke Tor Par Apnane Ke Liye Jaruri Hai Ki Aap Apni Marketing Parbhavshali Dhang Se Karein Or Apne Chune Hue Subjects Main Sabse Acha Likein. Ateh Apni Soch Ko Sakaratamk Rakhte Hue Sarthak Lekh Likhein Or Aam Admi Se Lekar Khase Admi Sabhi Ka Dhyan Rakhiye Or Badhiya Blogging Karke Bharat Ka Gaurav Badhaiye. 


Internet Se Paise Kaise Kamaye In Hindi

Internet Se Paise Kaise Kamaye In Hindi

Yadi Aaj Tak Ap Internet Main Email, Facebook, Twitter Or Anya Website Ka Estemal Sirf Apne Manoranjan Or Timepass Ke Liye Karte The, To Main Aj Apko Make Money Online Ka Tarika Batane Ja Raha Hun, Aap Internet Par Utna He Time Spend Karna Hoga Jitna Ap Abhi Karte Hain. Farak Bas Itna Hoga Ki Pehle Ap Just Apna Manoranjan He Karte The, Magar Ab Ap Manoranjan Ke Sath Sath Aap Paisa Bhi Earn Karenge Or Apka Knowldge Bhi Increase Hoga. Eske Liye Apko Jis Chej Mai Ruchi Hai Ya Fir Apko Kisi Cheej Ka Acha Gyan Hai, Usse Logo Tak Batna Hoga Or Wo Sirf Ek Blog Ke Jariye He Sambhav Ho Sakta Hai. Or Usse Blog Se Ap Fir Paise Bhi Kamaoge,

To Chaliye Jante Hain Ki Blog Ke Jariye Ap Internet Se Paise Kaise Kama Sakte Hain..


Google Adsense Ke Dwara Online Money Making.


वेबसाइट में बाउंस रेट का क्या मतलब होता है? Bounce Rate in Hindi.



Google Adsense Duniya Ka Sa Sabse Bada And Paise Batne Wala Ad Network Hai. Ap Ko Karna Yeh Hai Ki Jab Ap Apna Blog Bana Lein To Ap Ko Google Adsense Ke Liye Apply Karna Hai. Or Google Dwara Manyata Prapt Hone Par Ap Ko Apne Blog Main Google Ki Advertisement Karni Hai. Yani Google Adsense Dwaara Banaye Gaye Vigyapano Ko Code Apnse Blog Mai Lagana Hoga. Fir Jaise He Apke Blog Mai Google Ki Ads Chalna Shuru Ho Jayega To Ap Paise Kamane Lagenge. Google Ye Paise Apko Har Mainhe Deta Hai. Jo Ki Sidhe Apke Bank Account Mai Ate Hain. Ya Fir Apke Ghar Ke Address Mai Google Ka Cheque Pahunch Jata Hain. Magar Eske Liye Google Ki Ek Shrat Hoti Hai. Ki Jab Apke Account Mai 100$ Honge Tab He Google Apko Paise Send Karega Aise Nahi... For Example Apke Account Mai Es Month 80$ Hue To Google Apko Paise Send Nahi Karega. Par Next Month Ap Jitna Bhi Kamaoge Us Mai Veh 80$ Add Ho Jayenge Or Agar Dono Months Ko Lum Sum Jor 100$ Ya Fir Usse Jada Hai To Fir Google Apko Payment Send Kar Deta Hai.



Affiliate Marekting --  

Online Business Ideas In Hindi.


Affiliate Marketing Ke Dwara Bhi Ap Acha Khasa Paisa Kama Sakte Hain. Affiliate Markeing Ajkal Kafi Achi Income Ka Rasta Banta Ja Raha Hai. Kafi Sare Log Eske Jariye Hajaro Or Lankho Rupee Kama Rahe Hain. Ajkal Affiliates Marketing Ke Dwara Har Veh Company Apne Affiliates Ko Paisa Deti Hai, Jo Garahk Ko Apnsa Saman Online Sell Karti Hai. Or Har Badi Company Ab Apna Saman Online Sell Karne Lagi Hai. Jaise Ki Flipkart, Bigrock, Hostgator, Arvixe, Blue Host Or Bhi Bahut Sari Company Hain. Apko Na To Inka Product Bechna Hai Or Na He Custommer Banane Hain. Apko Bas In Websites Mai Ja Kar Apna Account Open Karna Hai. Or Whan Se Unke Products Ke Advertisement Code Ko Apne Blog Par Lagana Hain. Code Lagate He Apke Blog Main Unka Add Shuru Ho Jayega. Or Jab Bhi Koi Apka Visitor Un Adds Par Click Karta Hain. To Veh Visitor Sidhe He Company Ki Website Mai Chala Jata Hai. Whan Ja Kar Yadi Usse Koi Bhi Product Pasand Ata Hai. Or Veh Usse Buy Kar Leta Hai. To Apko Veh Company Us Product Ki Total Kimat Ka 5 Se 50 Ya Usse Bhi Jada % Aap Ko Deti Hai. Jo Ki Apke Account Mai Usi Time Ajate Hain.

Dosto Online Money Making Ke Tarike Or Bhi Hain, Magar Aaj Main Es Post Mai Sirf 2 He Tarike Bata Raha Hun. Eske Alwa Jo Tarike Hain Unhe Main Apko Next Blog Mai Bataunga. To Aaj Se He Balki Abhi Se Apna Blog Banane Ki Socho Or Internet Ke Jariye Sirf Manoranjan He Nahi Balki Paisa Bhi Kamana Shuru Karo. 

Monday 29 February 2016

Online Business Ideas In Hindi.

Online Business Ideas In Hindi.




Hello Dosto.

Kyaa Aap Online Business Karna Chahte Hain?

Kyaa Aap Online Business Karke Ghar Bethe Paise Kamana Chahte Hain?

To Ye Post Read Karte Rahiye Kyonki Yeh Khaas Taur Par Apke Liye He Hai. Es Post Mai Hum Kuch Aise Ideas K Bare Main Janenge Jinse Aap Online Ghar Par Beth Kar Business Karke Apni Onine Indentity Bhi Bana Sakte Hain. Or Paise Bhi Earn Kar Sakte Hain.

Vaise To Onine Paise Kamane K Bahut Sare Tarike Hain. Par Sabhi Tarike Sabhi Logo Ke Liye Work Karen, Yeh Bhi Pakka Nahi.

Esliye Aaj Hum Sab Un Tariko Ke Bare Main Janege Jinse Ap Ghar Par Beth Kar Achi Earning Kar Sakte Hain. Or Ye Sab Ajmaye Hue Tarike Hain.

Waise Yeh Keyword Google Par Kafi Popular Hai, (Online Business Ideas In Hindi) Eska Matlab Yeh Hai Ki Bahut Se Log Janna Chahte Hain Ki Onilne Business Kaise Kiya Jaye?


Aaj Har Din Internet Users Ki Sankhya Badhti Ja Rahi Hai, Abhi Bhi Bahut Se Aise Log Hain, Jo Ki Yeh Mante Hain. Ki Online Business Nahi Kiya Jaa Sakta Or Esse Paise Bhi Nahi Earn Kiye Ja Sakte. Par Yeh Baat Bilkul Bhi Sahi Nahi Hai Dosto. Eske Biprit Online Business Asani Se Kiya Ja Sakta Hai. Or Bahut He Benificial Bhi Hai.

Pichle Kuch Saalon Main Bahut Se Aise Companies Hain, Jinhone Apna Busiess Online Shuru Kiya Or Bahut He Badi Safalta Ki, For Example India Ki He Flipkart Company Jisne 2007 Main Startup Kiya Or Jaldi He India Ki Most Popular E commerce Site Ban Gayi. Aise He Bahut Se Examples Hain, Jo Apko Online Business K Liye Inspire Kar Sakti Hain.To Chaliye Hum Aaj Ka Hamara Topic Start Karte Hain.

Online Business Ideas In Hindi.


Aaj Main Apko Online Business Karne Ke 4 Methods Ideas Ke Bare Main Bataunga. Ye Ideas Business Karne Or Paise Kamane Ke Liye Bahut He Behatrin Hain....

Blogging Or Internet Marketing.

Blogging Online Business Karne Or Paise Kamane Ke Tarike Main Se Sabse Acha Tarika Ha. Blogging Sirf Ek Business He Nahi Hai. Balki Esse Kahi Barh Kar Hai. Blogging Ke Bahut Sare Laabh Hain. Blogging Se Bhi Aap Aage Kai Tarike Se Paise Kama Sakte Hain. Aap Apne Blog Par Advertising Networks Jaise Ki Google Adsense Ya Infolinks Aadi Ko Bhi Use Kar Sakte Hain. Jisse Aap Apne Blog Par Ads Ko Display Karke Paise Kama Sakte Hain. 

But Blogging Apke Liye Tabhi Ek Safal Business Ban Sakta Hai. Jab Aap Esse Gambhirta Se Karenge. Kewal Ek Blog Bana Lena Or Us Par Content Ko Publish Karke Aap Blogging Ko Bhale Parkar Se Nahi Kar Sakte.

Blogging Ek Bahut He Vast Field Hai, Jisse Apko Bade He Dhyaan Se Samjhna Hoga. Apko Blogging Tips And Tricks Jo Janna Hoga.

Dusri Cheez Internet Marketing

Internet  Marketing Bahut Had Tak Blogging Ke Sath Judi Hue Hai. Bahut Si Aise Companies Hain. Jo Ki Internet Based Marketing Services Offer Karke Business Kart Hain. Or Bahut Saare Paise Bhi Kamati Hain. Jaise Ki Content Promotion, SEO Or SMO Services, Database Management Adi.

E commerce.

E commerce Bhi Online Business Karne Ke One Of The Ways Main Se Ek Hai. Ajkal Internet Par Bahut Se Mega Stores Khul Chuke Hain. Jinse Aap Ghar Mai Beth Kar Koi Bhi Vastu Mangwa Sakte Hain. Or Es Parkar Logo Ka Eske Prati Rujhaan Bhi Badha Hai. Ki Agar Ghar Bethe Hum Online Chezzon Ko Mangwa Sakte Hain. To Bahar Ja Kar Kharidne Or Time Waste Karne Ki Kya Jarurat Hai. 

Naturally. Online Shoping Ka Trend Pichle Kuch Saalon Mai Kafi Badh Gaya Hai. Eske Chalte Bahut Sari Ecommerce Sites Bhi Onine Ayi Or Apne Es Onine Business Se Dhero Paise Kama Rahi Hain.

Maine Apko Pehle He Ek Aise Company Ka Example Diya Hai. Flipkart. Eske Elawa Or Bahut Si Aise Ecommerce Sites Hain. Jo Es Baat Ka Parman Hain. Ki Online E commerce Sites Ek Bahut He Faydemand Business Hai. Yadi Aap Bhi Apne Products Ko Online Bechna Chahte Hain. To E commerce Site Bana Sakte Hain. Or Apne Es Business Se Dhero Paise Bhi Earn Kar Sakte Hain.

Yadi Apko Yeh Post Acha Laga To Please Es Apne Friends Ke Sath Facebook, Googl+ Or Twitter Par Share Kijiye. Yadi Apke Pas Koi Query Hai. To Mujhse Comments Ke Jariye Puchne Mai Free Feel Karein.


Apko Kon Sa Method Best Lagta Hai? Kaya Apko Onine Business Ke Koi Or Bhi Ideas Bhi Pata Hai. To Hamare Sath Share Kijiye..


Es Post Ko Read Karne Ke Liye Apka Bahut Bahut Dhanyabaad.

वेबसाइट में बाउंस रेट का क्या मतलब होता है? Bounce Rate in Hindi.

Grow Twitter Fans - फॉलोइंग बढ़ाना चाहते हैं ?




Thursday 25 February 2016

वेबसाइट में बाउंस रेट का क्या मतलब होता है? Bounce Rate in Hindi.

Bounce Rate in Hindi.

Aj Hum Janenge Ke Website Main Bounce Rate Kya Hota Hai. Apne Ye Term Kayi Bar Suni Hogi Kei Aaj Bounce Rate Thik Raha Or Kal Kuch Bounce Rate Thik Nahi Aya Tha...

To Ye Bounce Rate Hai Kaya Bala? Or Ese Hum Kaise Dekh Sakte Hain?


Bounce Rate Actually Term Hum Use Karte Hain Website Se Related.. Jise Hum Google Analytics Tool Ke Jariye Dekh Sakte Hain. Jab Bhi Ap Apni Koi Website Ya Blog Banate Hain. To Usse Google Analytics Tools Se Link Karna Hota Hai. Ab Ye Google Analytics Tool Kya Hota Hai. Eske Bare Main Hum Agle Article Mai Read Karenge. Jo Abhi Maine Likha Nahi Hai Or Jald He Likhne Ki Koshish Karunga.

Yaha Niche Mai Ek Snapshot Dal Raha Hun Jisse Ap Dekh Sakte Hain Ke Bounce Rate Kya Hai.. Waise To Jab Ap Google Analytics Mai Dekhenge To Apko Najar Ayegne. Sessions, Users, Page Views, Pages/Session, Avg. Session Duration, Bounce Rate Or New Sessions. In Sabke Bare Main Hum Baad Main Read Karenge. Abhi Filhal Hum Bounce Rate Par Dhyan Denge. 


Jab Ap Apni Website Ya Blog Ko Google Analytics Mai Link Karte Hain To Analytics Login Karke Ap Apni Website Ka Bounce Rate Pata Kar Sakte Hain. Bounce Rate Apki Website Par Wo Percentage Hota Hai Ki Kitne Log Apki Website Mai Aye. Or Kitne Log Dusre Page Mai Gaye Bina Hi Apki Website Se Wapis Chale Gaye. Apki Website Ka Bounce Rate Hamesha 30% Se Kum Hona Chahiye. Because Jitna Apka Bounce Rate Down Hoga Utne Apke Page Views Honge.

To Hamesha Dhyan Rakhe Ki Ek Safal Website Yaa Blog Ko Hamesha Gambhirta Se Lena Jaruri Hota Hai. Yadi Apki Website Ka Bounce Rate High Ata Hai To Apko Iske Karan Ka Pata Lagana Chahiye Ki Aisa Kyun Ho Raha Hai? 
Eska Matlab Ye Hota Hai Ke Jo Bhi Visitor Apki Website Par Ata Hai Usse Uske According Chije Nahi Mil Rahe Hain, Ya Fir Apki Website Mai Jo Content Hai Wo User Ko Apni Or Akarshit Nahi Kar Pa Raha Hai.

Apko Ye Sochna Hoga Ki Aise Kon Si Chije Hain Jinme Mujhe Sudhar Karne Ki Jarurat Hai, Agar Apki Website Mai Ap Aisa Content Dalte Hain Jo Logo Ki Queries Ko Solve Kar Sake, Jo Unhe Jarurat Hai Wo Unhe Mil Sake, Bolne Ka Matlab Yahi Hai Ke Agar User Ki Koi Bhi Demand Hai Or Apki Website Usse Pura Karti Hai To User Khushi Se Apki Website Mai Bar Bar Visit Karega, Kyonki Usse Pata Hoga Ki, Mujhe Agar Kisi Bhi Cheej Ke Bare Mai Pata Karna Hai To Wo Website Mai Eska Anwer Kuch Bhi Ho Sakta Hai,, Ab Wo Website Apki Bhi Ho Sakti Hai Agar Ap Aisa Content Dale Jo Kisi Ki Help Kar Sake...

Esliye Agar Ap Apni Website Mai Aisa Kuch Bhi Likh Rahe Hain To Usse Informative Tarike Se Likhiye Taki Reader Ko Bhi Read Karne Mai Maja Aye. Hamesha Apni Website Mai Aisa Content Likhe Jisse Kisi Ki Help Bhi Ho Sake Or Dusra Apki Website Mai Jab Bhi Aye To Kuch Na Kuch Sikh Kar He Jaye.


Umeed Karta Hun Ki Apko Mera Ye Content Jarur Pasand Aya Hoga, Agar Es Content Mai Koi Bhi Galti Mile To Please Mujhe Bhi Jarur Bataye Taki Hum Esme Sudhar Kar Sake, Ap Apni Rai Mujhe Comment K Jariye De Sakte Hain, Ap Jitne Comment Karenge Usse Hame Bhi Or Acha Likhne Mai Prerna Milti Hai. Thanks...

Online Business Ideas In Hindi.

Grow Twitter Fans - फॉलोइंग बढ़ाना चाहते हैं ?

 

Friday 6 February 2015

Grow Twitter Fans - फॉलोइंग बढ़ाना चाहते हैं ?

इन दिनों social sites par apni fans following badhane ka chalan hai. Kyonki esi ke adhar par yeh tey hone laga hai ki ap kitne काबिल हैं. Yaha tak ki ap मुंहमांगे पैसे  dene ke liye bhi tyar ho jate hain. Kewal apni fans following ko badhane k liye. कुछ सूत्र aisa batate hain. Ki स्टार्स apni fans followers list ko Best बनाने ke liye paise dekar ट्विटर jaise Social Networking Sites par apne followers खरीदते हैं.


स्टार्स ke aisa karne ke piche ka karan विज्ञापनदाताओं ko lubhana hota hai. क्योंकि jin logo ka Social Media par acha असर dikhta है वह eska fayda uthakar विज्ञापनदाताओं ko lubhakar paisa bhi kama sakte हैं. कई Desho ya भारत mein aise bahut se fake account खोले जाते हैं, जो apke favorite stars ko follow karte hain. Aisa anuman lagaya jata hai. Ki . Yadi apko apne Twiiter Account mein 20.000 फॉलोअर्स चाहिए to apko eske liye 10 Dollar dene padenge.


ट्विटर par sabse jada ‘#oomf’ शब्द का प्रयोग किया जाता है Jiska arth ‘वन ऑफ माइ फॉलोअर्स’ है. Es शब्द ka craze es kadar है कि har saal lagbhag 15 करोड़ ke aspas word ka upyog kiya jata है.  आजकल Twitter Social Networking Sites bhi व्यापार ka sadhan ban gaye है. किसी भी tarike se apne Followers ki list बढ़ाओ और विज्ञापन ki duniya mein पैसा कमाओ.